آخر الأخبار
... مرحبا بزورا موقع الرقية الشرعية وعلاج السحر

إذاعة الشيخ عبد الباسط عبد الصمد للقران الكريم - المصحف المجود بث مباشر 24 ساعة

استمع الى الرقية الشرعية للشيخ احمد العجمي للعلاج السحر والمس والعين

black magic treatment

0

Saher say murad wo amoor-e-mukhfi hein jo nazar na atay hon laikin hakikat mein apna aap manwatay hon; jinka sabab posheeda ho or asal hakeekat kay khilaaf insani akal o samajh mein anay lagay

Seher ya Jadu aik khatar nak aur paryshan kun hakekat ka dosra naam hai. is ilam main taseer haroof, adad aur alfaz ke waja se hai. Chand hamari dunya ke nizaam ka hukmaran hai. Chand ke 28 manzilain hain ise tarha Quran Pak 28 Haruf per mushtamil hai aur in haruf ke pechay Sifli aur Alwi mokalat kam karty hain.

Alwi mokalat se amel nayki aur bhalai ke kam laitay hain jab ke jaduger sifli mokalat se na-jaiz aur burai ke kam laitay hain. Jadu hazaroon meel door se be operate kia ja sakta hai kioun ke mokal, jinn aur sifil arwah waqat aur jaga ke qaid se azad hain. Jadu aur sifli amliyat se kisi be insan ko la-ilaj bemarion main mubtila ker ke moot ke moun main dhakail diya jata hai. Dore-Jadeed main log asani se jadu ke asrat ke qayel nahi hoty. Jadu ke asrat boht tezi se asar dikhatay hain.

For Exmaple: Hafta ke roz zawal mah kamri main soraj nikalny ke bad ju marekh ke pehli sa-at ay us main kisi janwar ya murghi ko pakar ker ye lafaz ( FAKUSU ) kagaz per likh ker pani main hal ker ke pila dain. teen dino main wo janwar bemar ho ker mernay ke kareeb ho jay ga.

pir is janwar ko zibah ker ke is ka khoon ikatha kar lain aur marekh ya zuhal ke sa-at main yahi alfaz us janwar ke khoon se likh ker kisi sahatmand insan ko pila dain. kuch hi dino main wo insan khtarnak kisum ke bemarion main mubtila ho ker merny ke kareeb ho jay ga aur koi be ilaj karger sabit nahi ho ga jab tak koi noori ilam ka amel is jadu ka tor na kary wo insan sehtyab nahi ho ga. Kaly jadu main aise amliat apny dushman ko khtum krnay ke liy karway jaty hain.









Kher ka ilm norani or shar ka ilm sifli, or sahri ho ga, is tarah kher kay ilm ka malik naik or shar kay ilm ka haamil shaitaan or jaadugar ho ga. Ilm e nafiya say muraad Quraan hay or is mein norri ilm ki sarchashma zaat e bari taaa hay jabkah ilm e muzir say murad jaado o saher hay. Is ka mukhzun o mamba shaitaan hay. In dono uloom ko jis fitrat mein yakja kia gaya, wo insani fitrat hay. Ilm e nafiya ka raasta isay kamyabi ki taraf lay jaata hay or ilm e muzir ki raahein isay halaakat o zalaalat mein dhakail deti hein.

Jadu aisa fun hay keh jisko insane apni tamam nasooda khuwahshiyat ki takmeel kay liye tamam jaiz or najaiz zaraye istemal mein laye. Khuwah ye zaraye mansha e khuda wandi ke tabiyah hon ya is kay ain mukhalif shaitan iblees ke tabiyah hon. Saher aik aisi hakeekat hay jis ke andar bepanah muzir asrat mojod hein. Is ki wajah shaid munsha e Elahi say munsalik hein jis nay apni kudrat-kamila or muslehat e khaas say is ko in muzir asraat say nawaza hay. Jis tarah adwiyaat kay andar muzir asrat mojood hein. Jaado kay asraat intehai tezi say asar andaaz hotay hein. 








Saher or jaadu kisi bhi haal main neki kay liye nahi kia jata na neki kay liye hota hay. Ye shar ki pedawaar hay or iska maksad sirf makhlooq ko tang kar kay, izayat day kay apni nafsaani khuwahshat ki takmeel karwana hota hay or insane iskay asraat say maftooh ho ker sahraana raahon per chal parta hay. Ilm e norani kay tahat Quran, darood shareef, wazaif, isma-e-hasana or doosray amliyat kher atay hein. Jaado ke tahat jantar mantar, shetani chillay, amliyat e bad, ultay sidhay huroof kay mujmay atay hein. Inka wird kufr o shirk ka hamil hota hay.

For Spiritual Help,
amel_online@yahoo.com

SAHER OR JAADU KI TAREEKH O IBTIDA

Saher o jaadu ki ibtida haroot or maroot say hui. Ye do farishtay asman say babul ki zameen per utray, or logon ko jaadu sikhanay lagay. Zamana e akhir mein dajjaal jadooi kamalaat dikha ker or apnay sahraana karnamo say makhlooq e khuda ko gumrah karay ga. Kamzor eman walay is kay shar say mahfooz nahi rah sakein gay magar mazboot or paky emaan aur akeeday wale musalmaan is k sahraana kamalat daykh ker bhi mutasir nahi hongay.






Zamana e kadeem mein kuldaniyo, saraniyo or qubtiyo ko doosri aqwaam ki nisbat ilm e saher per bohat aboor tha. In kay baad say yunaaniyon, misriyon, parsiyon, arbon or degar aqwam nay istafada hasil kia. Bahawala e Quraan e Pak is baat ka pata chalta hay k zaman e kadeem mein ilm saher kaafi urooj per tha. Baray baray saahir jagah jagah per mojood thay jo apni fankarana salahiyton ka baypanah muzahira kar kay logon ko mabhoot kar daltay thay. Jaisa kah Quran Pak mein Hazrat Moosa (RA) ka mukabla sehr-e-darbar firoon say waziayh hota hay. Ahed e qadeem say he do tareekon per seher kia jata tha. Awwal tareeka e kuldaniyon or doosra tareeka ahl e babul ka tha.


Kuldaani apnay tarteeqay mein behad mahir thay, or in ka jadu o saher ka tor bahad mushkil hota tha. Inhu nay namrood ki badshahat or khudai kaim rakhnay kay liye 6 bahtreen talism e sahar tiyar kar kay babul mein mahfooz rakhay thay. In 6 talismon ki mukhtasir tafseel has b zel hay;
  • Tanbay ki sunahri batt jo babul mein dakhil honay walay kisi bhi chor or jasoos kay dakhil hotay he khud bakhud bolna shuroh ho jati thi, istarah iski nishanidhe ba asani ho jati thi, or usy ba asani giraftar kar liya jata tha.
  • Ajeb o gareeb naqara jo kisi kay gumshuda ya chori shudah maal ki forun nishan dahi kar deta tha.
  • Ajeb o gareb hoz jis mein bawakt jashan her aik apna man pasand mashroob dal deta tha or doran  e jashan jab pyas mahsoos hoti to wo us hoz say apna man pasand mashroob hasil kar kay pee leta tha. Tamam mashroob hoz mein apus mein mix na ho patay thay.
  • Ajeb o gareb aiena e saamri jo gaib ka haal bata kay forun gaib ho jata tha.
  • Ajeb o gareeb talaab jo mukhtalif masail ka hal batata tha. Is kay ilawa do daway daaron kay darmiyan tanaza ka faisla istrah karta tha kay jhoota dawaydaar gark ho jata tha jabkah haqdaar ki naaf tak hi pani ata tha.
  • Namrood k mahal ke darwazay per lagaya hoa ajeb o gareeb darakht, jiska saaya mahal mein anay walay insanon ki tadad kay mutabik ghatta bharta rahta tha.





Jaado karna ya seekhna shirk hay, is kay maani ghair allah say madad talab karnay kay hein is liye aisay buray ilm sikhnay ki islam mein gunjaish nahi hay. Ilm e nafiya yani Quran Pak mustakil asraat ka hamil hay. Iska rasta Insan ko Allah or Uskay Rasool (SAW) kay kareeb karta hay jabkeh ilm e muzir yani ilm e shaitani ya jaadu saher fitna nazar dhoka aarzi faiday or mustakil pachtaway kay nataijy ka hamil hay. Mojza sirf Allah kay hukam say waqoo pazeer hota hay or sifli ilm ya jaadu kay kamalaat aik shetaani zehen o fail kay tahat namoodaar hotay hein. Mojzay or jaado mein yehi fark hay.

Hazart Mosa (AS) jab koh e toor per Allah say torat kay ahkamat hasil karne kay liye tashreef le gaye to apnay bhai Hazrat Haroon (AS) ko apni kom bani Israel ka sardar bana gaye. Inki adam mojoodgi mein saamri naam kay aik jaadogar nay bani Israel ko bahkaaya or kaha kah ab Hazrat Mosa (AS) to shaid wapes na aein to ager tum kaho to mein tumhari khatir aisa bachra bana sakta hun jis say tumharay mabood ki awaz aye gi. Kom pahlay hi kher tamashon or nafarmani ki aadi thi, forun amada ho gai. To Hazrat Haroon (AS) nay inko samjhanay ki koshish ki to wo inhein katal per bhi amaada ho gai jis per wo majboorun khamosh ho gaye. 

Saamri jaadogar nay bani Israel say tamam sona chandi ikhatta kia or bighla ker aik bachra banaya jis mein us nay wo mitti daal di jis per Hazrar Jibrael (AS) k kadam paray thay. AIk makhsoos amal kay baad hab wo bachray ko mukhatib karta to us mein say bakaida aik awaz nikalti thi. Bani Israel ne Allah ko chora or bachray ki pooja shuro kar dee. Harzat Mosa (AS) jab lotay to kom ki halat dekh ker bhai per baras paray ke wo unko gumrahi say kiun na rok sakay. Hazrat Haroon (AS) nay sara majra bataya or phir gumrah karda afraad ko katal kar dia gaya. Samri pagal ho ker mara or iska jaadu ibrat naak anjam say dochaar hua.






Huzur (SAW) ka irshad hai: “hadees” “Muhlik baton say bacho, yani jado or shirk say” Jaadu ka asar bar-haq hay. Huzur (SAW) per bhi jadu kia gaya or iska asar yahan tak hua k baaz auqat apko khayal peda hota kah apne falah kaam kar lia hay laikin haqeeqat mein nahi kia hota tha.

Apne Hazrat Aisha (RA) ko mukhatib kartay huay farmaya k mere pas khuwab ki haalat mein do admi aye or in mein say aik mere sarhanay beth gaya or doosra paun kay paas or aik nay doosray ko kaha kah is shaks ko kia beemari hay to doosray nay kaha is per jaadu kia gaya hay. Pahlay nay kaha kissne kia hay to doosray nay kaha lubaid bin asam yahoodi nay. Pahlay ne daryaft kia kis cheez kay zariye, to us nay kaha kanghi kay giraye hoay baalon, or nur khajorr gabay kay ziriye say. Pahle nay sawal kia jadu kahan hay to ussne kaha zarwan k kunwaein mein jo bani zareek kay kabeelay mein hay.

Is wakiya ke dikhai dene kay baad Ap (SAW) us kunway per tashreef lay gaye or wapes a ker Hazrat Aishah (RA) k samnay istarah bayan farmaya k us kunway ka paani is kadar surkh tha goya keh is mei nmehndi kay pattay bhigooay gaye hein or ird gird kay darakht kay puranay or badsoorat honay ki waja say darakht shetaon kay sar maloom hota thay. Ap (SAW) nay isko bahir nikala or Ap (SAW) ko  Allah nay shifa bakhshi; iskay baad us kunway ko band kar dia gaya.

Seher kay baray mein Quran mein irshad hota hay;
Surah Al-Bakarah verse no 102,

And they followed [instead] what the devils had recited during the reign of Solomon. It was not Solomon who disbelieved, but the devils disbelieved, teaching people magic and that which was revealed to the two angels at Babylon, Harut and Marut. But the two angels do not teach anyone unless they say, "We are a trial, so do not disbelieve [by practicing magic]." And [yet] they learn from them that by which they cause separation between a man and his wife. But they do not harm anyone through it except by permission of Allah . And the people learn what harms them and does not benefit them. But the Children of Israel certainly knew that whoever purchased the magic would not have in the Hereafter any share. And wretched is that for which they sold themselves, if they only knew.
Surah Al-Anam verse no 7,
And even if We had sent down to you, [O Muhammad], a written scripture on a page and they touched it with their hands, the disbelievers would say, "This is not but obvious magic."
Surah Al-Araf verse no 109,
Said the eminent among the people of Pharaoh, "Indeed, this is a learned magician And the magicians came to Pharaoh. They said, "Indeed for us is a reward if we are the predominant."
Surah Al-Araf verse no 116,
He said, "Throw," and when they threw, they bewitched the eyes of the people and struck terror into them, and they presented a great [feat of] magic.
Surah Yunus verse no 77,
Moses said, "Do you say [thus] about the truth when it has come to you? Is this magic? But magicians will not succeed."
Surah Yunus verse no 81,
And when they had thrown, Moses said, "What you have brought is [only] magic. Indeed, Allah will expose its worthlessness. Indeed, Allah does not amend the work of corrupter's
Surah Taha verse no 57,
He said, "Have you come to us to drive us out of our land with your magic, O Moses?
Surah Taha verse no 58,
Then we will surely bring you magic like it, so make between us and you an appointment, which we will not fail to keep and neither will you, in a place assigned."
Surah Taha verse no 63,
They said, "Indeed, these are two magicians who want to drive you out of your land with their magic and do away with your most exemplary way.
Surah Taha verse no 66,
He said, "Rather, you throw." And suddenly their ropes and staffs seemed to him from their magic that they were moving [like snakes].
Surah Taha verse no 69,
And throw what is in your right hand; it will swallow up what they have crafted. What they have crafted is but the trick of a magician, and the magician will not succeed wherever he is."
Surah Taha verse no 70,
So the magicians fell down in prostration. They said, "We have believed in the Lord of Aaron and Moses."
Surah Taha verse no 71,
[Pharaoh] said, "You believed him before I gave you permission. Indeed, he is your leader who has taught you magic. So I will surely cut off your hands and your feet on opposite sides, and I will crucify you on the trunks of palm trees, and you will surely know which of us is more severe in [giving] punishment and more enduring."
Surah Taha verse no 73,
Indeed, we have believed in our Lord that He may forgive us our sins and what you compelled us [to do] of magic. And Allah is better and more enduring."
Surah Saba verse no 12,
And to Solomon [We subjected] the wind - its morning [journey was that of] a month - and its afternoon [journey was that of] a month, and We made flow for him a spring of [liquid] copper. And among the jinn were those who worked for him by the permission of his Lord. And whoever deviated among them from Our command - We will make him taste of the punishment of the Blaze.
Surah Saba verse no 14,
And when We decreed for Solomon death, nothing indicated to the jinn his death except a creature of the earth eating his staff. But when he fell, it became clear to the jinn that if they had known the unseen, they would not have remained in humiliating punishment.
Surah Saba verse no 41,
They will say, "Exalted are You! You, [O Allah ], are our benefactor not them. Rather, they used to worship the jinn; most of them were believers in them."





Fukha e islam nay saher kay baray mein likha hay keh jin amoor mein shayateen arwah khabeesah say madad li jaye or inko hajat raawa samajh ker mantron wagera say maskhar kar kay insay kaam lia jaye to wo shirk kay barabar hay or aisa karnay wala kafir hay or is kay ilawa jin amoor mein aisay tareekay istemal kiye jaein or in say doosron ko takleef pohanchay to in ka karnay wala bhi gunah e kabeera ka amoor haram ka murtakib ho ga.
Another Reference from Surah Adh-Dhariyat verse no 56,
And I (Allah) created not the jinns and humans except they should worship Me (Alone).
Surah Al-Rehman verse no 15,
And the jinns did He create from a smokeless flame of fire.
Surah Al-Rehman verse no 33,
assembly of jinns and men! If you have power to pass beyond the zones of the heavens and the earth, then pass (them)! But you will never be able to pass them, except with authority (from Allah)!
Surah Al-Jinn verse no 06,
'And verily, there were men among mankind who took shelter with the masculine among the jinns, but they (jinns) increased them (mankind) in sin and disbelief.

SAHER OR JADU KI AKSAAM

Fun e saher kay mahireen ka kahna hay kah, sahar e kuldani bohat he mushkil hay or is kay hasil karne mein sakht say sakth mahnat or mushakkat ka samna karna parta hay. Itna zaroor hay ke is ilm ka aamil apnay ilmi kamallat say wow o kamallat logo ko dikha deta hay ke jinko akal or faham bhi samjhnay say kasir mein. Is jaadu mein tamaam arwah ki taskheer hoti hay. Jis mareez ko tabeeb maheeno kay ilaaj say sahat yaabnahin kar pata, is jaadu ka jaanay walay chand lamhon mein durust kar dete hein or ye sahar bilashuba kufr hay.

Saher ki doosri kisum jin o insane ki taskhher karnay ki hay. Ye pahli kisam say sahal or asan hay. Hindustan mein is kisum ki bakasrat raij hay, or is kisum kay sahar mein bahawani, hanuman, kaali, bheron, loona, chumari, or mukhtalif dewi dewtaun ki dahaiyan day kar in k jaye waqooa per khushboo jala kar, dhooni day ker, bali chrha kar kaam lia jata raha hai ye bhi haram o kufr hay.

Saher ki teesri kisum taskheer e arwah e khabeesa hay or is mein kawwi hekal or kawwi ul jassa shakhs ki rooh ko kalam e shayateen parh ker taskheer kar lete hein or apne tabiya kar lete hein or in say misl e nokar kam lete hein. Is kisum k seher mein aksar aam tor say arwah e khabeesa say hi kam lia jata hay isliye ye bhi haram hay.

Saher ki chothi kisum mein mamool ki kuwwat wahma ko baaz arwah khabeesa ya jinnat kay ziryay kharab kar di jati hay yani mamool kay samnay ki chez nazar nahi ati, or ager nazar ati hay to wo holnak surat mein dikhai deti hay.






Sifli, kalay, hinduon k jaadu ya dunya kay kisi bhi sehri ilm mein koi fark nahi hay. Kiun kah bunyadi tor per ye shetani ilm hay. CHurailein, budroohein, sifli mokl, khabees jin shaitaan k pairokaar or kalay jaadu kay lawazmaat hein. Gandgi jaisay gobar, peshad or maada e munawiya ka istemal is jaadu ki bunyad hein. Inko khana peena is kay aamilo kay liye shart hay or najaasat mein rahna aik pabandi hay or is ka aamel badkaar or ayash hota hay. Zahir hay ye sab shetaan ko khush karne k liye kia jata hay or jo burai ki inteha per khush hota hay.

PORA WEEK YAY AMEL IS TADAD AUR ROUTINE K SATH JARI RAKHIN. HER KISM K JADU SE NIJAT MIL JAY GE AUR GAIB SE ROZI KE ASBAB PAIDA HO JAIN GE.

SATURDAY: READ ( YA GHANIU, 1060 TIMES ) AFTER FAJAR PRAYER 

SUNDAY: READ ( YA FATAHU, 479, TIMES ) AFTER ZOHAR PRAYER

MONDAY: READ ( YA LATIFU 129, TIMES ) AFTER  ASAR  PRAYER

TUESDAY: READ (YA KABIZU 903, TIMES ) AFTER MAGRIB PRAYER

WEDNESDAY: READ ( YA MUTALU, 541 TIMES ) AFTER ESHA PRAYER

THURSDAY: READ ( YA RAZAKU, 308 TIMES ) AFTER FAJAR PRAYER

FRIDAY: READ ( YA NOORU, 256 TIMES ) AFTER ZOHRAR PRAYER 

SPIRITUAL CURE: Her kism ke jadu, sehar, sifli amel ke asrat khtam karny ke liy 41 roz tak her namaz  ke bad awal-akhir Durood Sharif 3 bar, Surah Al-Fatihah 7 bar, Ayatal Kursi 7 bar, Surah Falk 7 bar, Surah Nas 7 bar perh kar pani per dam kar k petay rahin.
her namaz  ke bad in kalmat ko rozana pertay rahin. kisi kisum ka jadu asar nahi kary ga aur her kisum ke musebat se nijat mil jay ge. 

For Spiritual Help,
amel_online@yahoo.com

AMAAL SEHER O JAADU KA TOR

Her kisam k jadu, ulwi, sifli amel k asart khtam karny k liy pehli azeemat ko Yellow ya white paper per Friday ke din Mushak Wa Zafran se likhin  pani main dal ker peny k liy istamal karin. 




dosri azeemat ko white paper per Mushak Wa Zafran se likh ker sabaz rang ke kapray ye leather main silayi kar ke mareez ke galay main pehna dain. Jadu ke asrat kisy hi kioun na hon 40 din ke andar her kisum ke asrat se nijat mil jay ge.





pora week in ayat mubarka ko perny k bad pani per dam karin aur penay k liy istaml karty rahin. her kisum ka jadu aur sifli amel k asarat khtam ho jain ge.
SATURDAY: READ 818 TIMES, SURAH YA-SIN VERSE NO 58 
SUNDAY: READ 627 TIMES, SURAH AS-SAFFAT VERSE NO 79 
MONDAY: READ 500 TIMES, SURAH AS-SAFFAT VERSE NO 109
TUESDAY: READ 625 TIMES, SURAH AS-SAFFAT VERSE NO 120
WEDNESDAY: READ 403 TIMES, SURAH AS-SAFFAT VERSE NO 130 
THURSDAY: READ 662 TIMES, SURAH AS-SAFFAT VERSE NO 181
FRIDAY: READ 1027 TIMES, SURAH AL-QADR VERSE NO 5

======

وانت تقرأ هذا الموضوع استمع للرقية الشرعية تعمل 24 ساعة طوال اليوم لابطال السحر والعين والمس العاشق

استمع لرقيةابطال السحر والعين والحسد والمس العاشق

استمع لرقية ايات خروج الجن والسحر والعين والمس العاشق

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

افضل موضوع في هذه المدونة فقم بقرائته

جميع انواع السحر مع اعراضه وكيفية علاجه

السحر علاج ا علاج الجن او المس العاشق نهائيا ووقف الاعتداءات الجنسية في المنام واليقظة هذه الطريقة تستعمل في جميع الظروف والاوقات كالعمل و...

تذكر ان الله هو الشافي وعلى العبد الاخذ بالأسباب

افضل مواضيع والاكثر زيارة هذا الشهر

صفحتنا في الفيسبوك ولطلب العلاج مجانا

جميع الحقوق محفوظه © لطلب العلاج اقرا الموضوع الموجود في الاسفل مباشرة

تصميم htytemed